Apnaa Mujhe Tu Laga

Apna Mujhe Tu Laga Lyrics


Anjaane ho tum, jo begaane ho tum
Jo pehchaane lagte ho kyun
Tum gehri neendon me jab soye soye ho
Toh mujhme jagte ho kyun

Jab tujhko paata hai
Dil muskurata hai
Kya tujh se hai waasta
Kya tujh me dhoondu main
Kya tujh se chaahu main
Kya kya hai tujhme mera
Jaanu na main tujhme mera hissa hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu lagaa..

Tujhse taalluk jo nahi kuch mera
Kyun tu lage hai apana saa
Dekhu jo tujhko ik nazar
Jaaye bhar mujhme hai mera jo khala
Zindagi me khushi tere aane se hai
Warna jeene mein gham, har bahane se hai
Hai yeh alag baat hai hum mile aaj hain
Dil tujhe jaanata ik zamaane se hai
Jaanu na main tujhme mera hissa hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu laga
Jaanu na main tujhse mera rishta hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu laga

Aankhon ne aankhon se kahi daastaan
Tumko banake raazdaan
Baahon me jannat aa gayi khushnumaa
Tum jo huye ho mehrbaan
Jism se jism ka yun taaruf huaa
Ho gaye hum sanam rooh tak aashna
Ek zara jo chale do kadam saath me
Mill gaya hai hume zindagi ka pata

Jaanu na main tujhme mera hissa hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu laga
Jaanu na main tujhse mera rishta hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu laga

Anjaane ho tum, jo begaane ho tum
Jo pehchaane lagte ho kyun
Tum gehri neendon me jab soye soye ho
Toh mujhme jagte ho kyun

Jab tujhko paata hai
Dil muskurata hai
Kya tujh se hai waasta
Kya tujh me dhoondu main
Kya tujh se chaahu main
Kya kya hai tujhme mera
Jaanu na main tujhme mera hissa hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu lagaa..
Jaanu na main tujhse mera rishta hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu laga

Uska Hi Bana Lyrics


Meri kismat ke har ek panne pe
Mere jeete ji baad marne ke
Mere har ik kal har ik lamhe me
Tu likh de mera usey
Har kahaani me saare qisson me
Dil ki duniya ke sacche rishton me
Zindagani ke saare hisso mein
Tu likh de mera usey
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana

Uska hoon uss me hoon uss se hoon
Usi ka rehne de
Main toh pyaasa hoon hai
Dariya woh zariya woh jeene ka mere
Mujhe ghar de gali de shehar de
Usi ke naam ke
Kadam ye chale ya ruke ab usi ke vaaste
Dil mujhe de agar dard de uska par
Uski ho woh hasin goonje jo mera ghar
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana

Mere hisse ki khushi ko hansi ko
Tu chaahe aadha kar
Chahe lele tu meri zindagi par
Ye mujhse vaada kar
Uske ashqon pe ghamon pe dukhon pe
Har uske zakhm par
Haq mera hi rahe har jagah har ghadi haan umr bhar
Ab faqat ho yahi woh rahe mujh me hi
Woh juda kehne ko bichhde na par kabhi
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana

Meri kismat ke har ek panne pe
Mere jeete ji baad marne ke
Mere har ik kal, har ik lamhe me
Tu likh de mera usey
Aye Khuda Aye khuda
Aye Khuda Aye khuda

Majboor Tu Bhi Kahin Lyrics


Kehta hai, hai zindagi tu
Kyun mujhme phir milta nahi
Deta hai, aisa safar kyun hai manzile jinki nahin
Kehde Khuda hai kaisa Khuda tu
Jo bas me tere kuch nahi
Haan koi to wajah hogi jo yun
Hai majboor tu bhi kahin
Ho o o...

Jitna talaashun tu milta nahi
Ye fitrat teri tu badalta nahin (x2)

Tu bata aise kyun, teri marzi chalata hai tu
Jeete jee yun jalaata hai tu

Ishq mein jeene na de tu
Aur marne bhi deta nahi
Kehta hai, hai humsafar tu
Phir saath kyun deta nahi
Kya hai khafa ya hai bewafaa tu
Jo sunta meri kuch nahin
Haan koi to wajah hogi jo yun
Hai majboor tu bhi kahin
Ho o o...

Kehde khuda hai kaisa khuda tu
Jo bas me tere kuch nahi
Haan koi to wajah hogi jo yun
Hai majboor tu bhi kahin
Ho o o...

Comments

Popular posts from this blog

Todays topic Iron Lady Of India